Hello Doston aaj fir se ek bar aapka suwagat hai iss khass post me jaha hum aapse baat karne wale hai automatic blog post ko share kaise kiya jata hai ji Haa Doston Aaj ka post me hum essi ke bade me baat karunga
Agar Aap ek part time ya full time blogger hai to aapke liye yeh tricks bahut hi kaam aane Wala hai agar Aap blogging kafi dino se karte ho to aap Yeh Acche se jante ho ki ek blogger ko kitna time ko mainege karna parta hai aur ek ek hour ka mahatpun kaam karna parta hai
Aapne kabhi kabhi notice kiya hoga kabhi lambhi post likhne me ya jald baji me post ko likh to dete hai lakin kay bar time ki kami ke karn ya to fir bhul jate hai post ko social media me share karna aur share nhi kar pate hai lakin aajke iss post mai aapko bataunga ek sath sara social media account me post ka link automatic share karna bataunga
![]() |
Post ka Link social media me share karna kyu jaruri hai ?
Yeh koun nhi janta hai ki humko blog ke post ka link social media me kyu share karna chahiye asal me sabka yahi makshad hota hai uske traffic jade se jade aaye kyuki agar Aap unique post likhte ho aur agar aapka traffic nhi aa raha hai to koi Fyda nhi aapka post likhna aur yahi traffic apne post me Lane ke liye hum social media me blog post ka link share karte hai ab aapko samaj me aa gaya hoga
Kaha kaha blog post ka link automatic share kar sakta hu ?
Waise to aap sare social media me post ka link share kar sakte ho Lakin yaha aapko ek baat dhiyan me rakhna hai Aap sare social media me link ko share nhi kar sakte ho jab tak aapka uss network me account nhi hoga mera kahne ka matlab jiss social media me aapka account hai waha share ho sakta hai
Automatically post ka link share kaise hoga ?
Automatically blog post ka link ko share karane ke liye aap website ki madad se kara sakte ho post ko share karwane ke liye
Aapko ifttt me jake first time sign up karna hoga fir aap eski madad se blog ke post ko automatic social media me share kara sakte ho agar aapko ess website me koi problem aata hai settings karne to aap dlvr ess website se bhi kar sakte ho aap dono me se kisi bhi website ki madad se blog ke post ko automatic share karwa sakte ho Lakin mai aapko ek baat bata dena chahunga agar Aap dlvr se automatic share karana chahte hai to aap sare social media me share nhi kara sakte ho ess website se aap Facebook, Twitter, Linkin. Me hi free me automatic share karna sakte ho esse kisi dusre social media me share karane ke liye aapko rupees kharch karna hoga lakin aapko dlvr thora setting karne me aasani hoga
Yeh mere social media account me share kaise hoga ?
Doston yaha mai aapko saff saff bata deta hu aapko kuch nhi karna hoga post ko share karne ke liye Sirf ek baar dono me se kisi ek website me jake settings kar lena hoga fir aapko kuch bhi nhi karna hoga Sirf aap blog me post ko likh kar publish karna hoga aur wo automatically Aapne jis jis social media ka. settings kar rakha hoga waha share ho jayega Sirf aapko blog me hi post publish karna hai aur kuch nhi karna hai
Kya apne blogger me automatically post share karne ka settings Karna chahiye ya nhi ?
Agar aap ek blogger hai to aap khud hi samajdar insan hai aur aap Yeh bhi jante ho ki har insan ko time ki bahut ki kimat hota hai aur ess time ka kimat ko samajhte huwe aapko automatic post ka link share wala settings kar lena chahiye jisse aapka time kharch km hoga aur bar bar link copy paste karne se free ho jawoge Sirf ek hi bar eski settings Karna hoga jo bhi bade bade blogger hai sab eska use karte hai apne time ko batch karne ke liye
Ummid karta hu post aapko pasand aaya hoga to apne doston ke sath share karna na bhule
Agar Aapka koi sawal hai to niche comments me jarur batana